Rajnikanth ko mila Dada Sahe Falke Award
Rajnikanth

South ke Bhagwan kahe jane wale Superstar Rajnikanth ko Indian Cinema ka sabse bada Award, Dada Saheb Falke Award se sammanit kiya jayega, iss award ki Ghosna, Kendriya Suchna & Prasaran Mantri , Praksh Javedekar ne Guruwar ko kiya hai. 


South ke Superstar, Thalaiva Boss Rajnikanth ko Dada Saheb Falke Award se smmanit kiye jaane ki news jaise hi Thaliva Fans ko pta chala, yah Google aur Social Media me trend karne laga. 



Rajnikanth apni blockbuster movies Robot, Robot 2.0, Shivaji The Boss, Kabali, Petta ko lekar na keval south india bulki pure bharat me tahalka macha chuke hai. Aur unki issi kaam ke prati nishtha ko dekhte huye Bharat Sarkar ne unhe Dada Saheb Falke Award se sammanit karne ki ghosna ki hai. 



Rajnikanth ki Journey :- 

Rajnikanth aaj kitne bade superstar hai, yah baat har kisi ko pta hai, par kya aapko pta hai ki Rajnikanth ka Thaliva banane ke safar itna aasan nahi tha. Chaliye jaante hai Rajnikanth Biography ke baare me.


Rajnikanth Life Biography


Bahut log nahi jaante ki South ke Bhagwan ka janm South ke kisi me nahin hokar, Maharashtra me hua tha. Rajnikanth ka orginal naam Shivaji Rao Gayakvad tha. 5 saal ki age me unki maa ka dehant ho gya, jiske kaaran Rajni kaafi akele ho gaye the. Jaise wo bade hote gaye, pure parivaar ki jimmedari unke kandho me.


Phir Rajni ghar chalane ke liye kuli ka kaam karne lage. Thoda aur bade hone par Bas Conductor ka bhi kaam kiya tha. 



Rajnikanth ki movie me entry, tamil movie Apurva Ragangal se kiya tha, jise Balchndra ne direct kiya tha. Iss movie me us samay ke kaafi bade bade superstar jaise ki Kamal Hasan, Shrividhya the. Iss movie ke bich me hi wo naatko me bhi kaam karne lage,jisse hi unki popularity logo ke bich badne lagi thi. 



SP Mathuran ki Bhuvan Ooru Kalvikuri me unhone ne pahli lead role play kiya tha, yah movie audience ko itni pasand aayi ki Rajnikanth ko ab Bhagwan ka darja milne laga. 


Ab Rajnikanth, South me kaafi popular ho chuke aur Bollywood me kaam karne ki taiyari karne lage.1983 meunki pahli bollywood movie Andha Kanoon aayi thi, jise hindi darshko ke dwara kaafi pasand aaya tha. 


Iske baad se hi Rajnikanth tarkki ki sedia chadte gaye. Rajnikanth, India ke oahle aise actor bane chuke hai jinke movie ke release ke din state government ne state holiday declared kiya tah, yah movie tha Kabali. 


About Dada Saheb Falke Award :-

Dada Saheb Falke Biography


Dada Saheb Falke Award ko Cinema Jagat ka sabse bada award maana jaata hai jise Dada Saheb Dalke ke yaad me diya jaata hai. Dada Saheb Falke ka asli naam Dhundhi Raj Govind Falke tha aur inka janm 30 April 1870 ko Naashik me hua tha.  


Dada Saheb ne Indian Cinema ko ek naya jeevan diya tha, yah 3 mahine tak england jaakar kaam krte rahein aur research bhi kiya. Engalnd se aane ke baad unki pahli movie Raja Harishchandra release huyi jisse India ki pahli feature pahli film ke rup me jaana jaata hai.



Ab yah Award South Superstar Rajnikanth ko milne wala hai.



Agar app bhi Thaliva ke Fan hai to, Article ko Social Media me jarur Share karein.



Post a Comment

Recent Posts

Responsive Advertisement